Sanskriti-Bidhwans
Dhah rahey puraney prachir sabhi
Mahal Khandhar mey badal rahey
Chama, daya, tap, tyag, Sahishnuta key stambh
Sab aik-aik kar k bikhar rahey
Bahti thi tab bayar basanti
Charo ore hariyali thi.
Soney ki chidiyan tha Hind hamara
Hindi ki baat nirali hai.
Jab sakal vishwa ki manav jaati
Ajyanta key andhiyarey mey jiti thi
Vricha aiwam pashu key chal sey
Tan ko lapet kar
Wah pashu ki hi vanti jiti thi
Woos samay jyan key diye prajjwalit kar
Hind jagat Guru kahlaya
Sakal vishwa key koney-koney sey
Jyan pipasu jyan grahan ko aatey they
Jiwan ki har vidha mey nipun ho
Janam safal kar patey they
Woosi Hind mey aaj sarwatra hai
Ajyanta ka andhakar
Jati-dharm key kuchakra mey fansey
Dekhen macha hai, kaisa hahakar.
Kisaa kursi ka chaipa nahi
Janta ki jaan ki kimat kya?
Janakanchaye darkinar hue,,Sampradaekta hi hathiyar bani
Wad apney manwaney ko.
Apnatey hai ye har hathkanda
Kabhi jaati to kabhi dharma ka,
Thamtey ye badal-badal kar jhanda.,Rajneeti ki parivasha ho kya?
Janta ab aur gahey mat maun
Netritwa ho kin hatho mey
Vichar manthan ho upyukta hai kauan?
Kyuki sampradaikta aiwam jaatiwad ka
Jahar, jaisey-jaisey vatawaran mey ghul raha hai., Pratycha praman hai, awlokan karey! Parinam
Kaisa bidrup darun mil raha hai.
Sun unnis sao vanvey key, mah December key, chattey
Din ki baat hai.
Hua hind key koney-koney say, Hinduwo ka
Ayodhya ki ore prayan.
Dhancha tha wahan aik viwadit.
Bana unkey aakrosh ka nishan
Kahtey hai, usey Baber ney
Mandir tod kar banwaya tha
Thii wah Sri Ram ki janam bhumi
Usey apney naam karaaya tha.
Yahi baat rah-rah kar, hinduwo ko,
Udyelit karti thei.
Jab v baat chati Ramjanam bhoomiki
Unhey aandolit karti thei
Essi bhawana ko bhuna kar ‘vihip’ ney
Ayodhya mey unhey bulaya.
Mandir nirman ki baat pahley ki
Fir, kiya dhanchey ki ore ishara
Shabdo key vish-bujhey baan
Aakrantao key atyachar ki
Dard vari kahani
Samney khadey bejan dhanchey ko
Batakar gulame ki aik nishani
Hunkar vari kisi ney
Dekhatey-dekhatey dhancha dhwasta ho gaya
Sahishnuta Hindutwa ko, purwajo ki thati thii
Uska suryasta ho gaya.
Dusara-Sarg
Nirman nahi, wahan dhwans hua.
Dharma key naam par vidhwans hua.
Maryada purushottam ki janambhumi per
Jab haavi dhwans ka ansh hua
Kaar sewa ko gaye they
Wo kripan ko lekar
Hantho mey hathawda aur
Trishul ko dharkar
“Dharma hamey hamari, maryadaow ka vaan karata hai
Kiskey prati kya kartavya hai mera
Usko yeh batlata hai.”
Yadi kuch chan ko ham yeh v maney
Tha jaha ‘Dhancha’, waha tha aik Mandir Purana.
Fir v kya Dhwans tha sahi?
Maanyta key aagey kya?
Sauhadra kuch v nahi.
Tuta wah dhancha ya ki bishwas tuta
Bhai-bhai ka tab sath chauta
Jo rahtey they milkar
Sadiyo sey sang-sang
Aik he jhatkey mey rishta wah tuta
Ahinsa ka pujari hamey
Jagat jaanta tha
Shanti ka doot wah, hamey maanta tha
Per, jab ham hi, unmaad key wahak huey
Sahishnuta key dahak jab ham hi huey
Es Mahadweep mey jo hai
Way hai kiskey vanshj?
Kya ‘Babar’ inhey saath laaya tha apeny?
Sindhu key es par rahtey they
Hindu hi tow they way
Aab v tow ye Hindu hi hai
Lakin
Matantar hona kya? Nai baat hai
Kise ko bada manna apna bishwash hai
Ho Hindu ya Mushlim
Ki ho wah Sikh-Isai
Yahi Matribhumi
Wah pahley hai Bhai
Vijit kya hue aur
Kya tumney hai khoya?
Uska to pahley aaklan karkey dekho.
Paristhiya jo samaney hai
Unka awlokan karkey sikho!
Udarwaad ka vricha mat kaato
Waha ugrwaad ka paudha hoga
Mat karo tum apni manmai
Yeh sauda bada mahanga hoga
Hinsa-pratihinsa key is khel mey
Ghayal hoti hai manavta
Varchswa ki is khicha-tani mey
Jadey jamati hai Danawta
Kya sach hai aur kya hai jhootha
Yeh to ham sabhi jaantey hai
Atah, Dafan murdey ko mat ukhad.
Waha Sambhawatah sada maans milega ,Dushit vaayu aiwam kit say purit
Kewal kankal milega.
‘Abdul Hameed’ ko karo yaad
‘Abdul Kalam’ ki karo baat
Hamey nahi chahiye wah ‘Pandit-Maulana’
Jo vadkata hai nafrat ki Aag.
Jo Sahishnu jaati, Naagoo ko doodh pilati hai
Ghar aaye shatru ko v
Sahridye ho gale laggati hai
Usney pratidwandi ban
Nij bandhwo per war kiya hai
‘’Sanatan dharmi aaj apney
Ghar mey hi haar gaya hai ‘
“Ajey yoddha ki bhumi Ayodhya.
Paddalit jo hui hai,
Wah Ayodhya nahi hai.”
Uhi naahar v nahi Sanhaar karta hai
Jatharagni bujhaney ko hi
Wah shikar karta hai
Per, yeh v kaisi ajjib baat hai
Nahi khata Manuj ko Manuj hai, kabhi.
Fir v bidwesh sey
Uska sanhar karta hai
Pashu nahi ,pashuta buri hai
Kahi v kisi chij ki
Adhikta buri hai
Ghrina ka jahar apney dil sey nikalo
Karuna aur mamta key
Bij usmey daalo.
Prem ka sanchar kar usko sincho!
Na Mandir, na Masjid, na Girija- Gurudwara
Baney kuch aisa ki
Lavanwit ho jag sara!
Banana hai to ,
Saanskritik aiwam Sahityik Kendra banaao
Attit ki Garimamye Saanskritik dharoharo sey usey sajao ,,Vishwa k tamam saanskritik dharawo ka,
Jab waha Sangam hoga
Naitik wa Nutan vichar dharao sey
Paripurna, manavtawadi drishtikon ka
Srijan hoga!
Ban chuke chikitsak aur prashasak bahut
Per, Manav-nirman ka kaj shesh raha
Abilamb yeh prarambh ho,
Samaj ki samasyao ka hal milega
Logo ke tuttey bishwas ko
Judney ka bal milega.
Manavta ko naya Sambal milega !
Manavta ko naya Sambal milega. !!